Friday 10 June 2016

Dakshin aafrika me nagrik adhikaro ke andolan(1893-1914)


1893 me Gandhi ji ne dakshin aafrika ke opniveshak shetra natal sthit ek bharatiya firm dada abdulla and company me kam karane ka ek varsha karar kiya tha. dakshin aafrika me Gandhiji ko bharatiyo par bhedbhav ka samna karna pada tha. saruaat me unhe pratham shreni koch ki ticket hone ke bad bhi tisari shreni ke train ke dibe me jane ko kaha gaya. par Gandhi ji ne jane se mana kar diya to unhone unko train se bahar fek diya tha.


Unhone apani yatra me anya kathinaiyo ka bhi samana kiya tha. aafrika me unke liye kai hotelo par pratibandh laga diya tha. 

ese hi ek gatana me nyayadhish ne Mahatma Gandhi ji ko apani pagadhi utar dene ka aadesh diya tha lekin unhone nahi mana tha.

yeh sari gatnaye Mahatma Gandhi ji k jivan me ek naya mod leke aayi or anyay ke prati jagrukta ka karan bani. dakshin aafrika me bharatiyo par ho rahe in atyacharo ko dekhate hue Gandhi ji ne angreji samrajya ke bharatiyo par ho rahe atyachar samman tatha desh me svayam apani sthiti k liye prasna uhtaye.

No comments:

Post a Comment