Friday 10 June 2016

Bharatiya swatantrata Sangram (1915-1945)


1915 me Mahatma Gandhi ji Dakshin afrika se bharat rahane ke liye aa gaye. us samay Gopal Krishna Gokhale jo bharatiya rastriya congres ke pramukh neta the. Gandhi ji bharat aakar unse mile. 
1917 or 1918 me Gandhi ji ne khadhya vastuo ki apexa nil or ger khadhya vastu ki kheti k virodh me champaran or kheda satyagrah kiya. isake baad gandhi ji ne apane anuyayio ko sath lekar desh bhar k logo ko ekatra kar ke ahinsa par bal dete hue asahyog andolan ki suruat kar di.


Unhone bharatiya nagriko ko videshi vastuo ka bahiskar karane or swadeshi chijo ko apanane ko kaha. 19200 me Mahatma gandhi ji pure bharat bhar me lokpriya ban gaye the. 1930 me angrejo ne banaye namak kanoon ko todane ke liye dandi yatra suru ki thi.

1906 ke zulu yudh me Gandhi ji ka sahyog


1906 me zulu dakshin afrika me naye chunav kar ke lagu karne ke bad 2 angrej adhikari ko mar diya gaya. badle me angrejo ne zulu ke khilaf yudh chhed diya. Gandhi ji ne bharatiyo ko bharati karane k liye british adhikariyo ko puri tarah se prerit kiya tha. unka ye tark tha ki apni nagrikata ke davo ko kanooni jama pahnane k liye bharatiyo ko yudh me sahyog dena chahiye. fir bhi Angrejo ne bharatiyo ko apani sena me bharati karane se saf inkar kar diya tha.

Isake bavajood angrejo ne ye maan liya ke bharatiy gayal angrejo ko upchar ke liye strechar par lane ke liye kam kar sakate he.

Is tarah Gandhi ji ne 1906 me zulu yudh me angrejo ka sahyog kiya tha.

Dakshin aafrika me nagrik adhikaro ke andolan(1893-1914)


1893 me Gandhi ji ne dakshin aafrika ke opniveshak shetra natal sthit ek bharatiya firm dada abdulla and company me kam karane ka ek varsha karar kiya tha. dakshin aafrika me Gandhiji ko bharatiyo par bhedbhav ka samna karna pada tha. saruaat me unhe pratham shreni koch ki ticket hone ke bad bhi tisari shreni ke train ke dibe me jane ko kaha gaya. par Gandhi ji ne jane se mana kar diya to unhone unko train se bahar fek diya tha.


Unhone apani yatra me anya kathinaiyo ka bhi samana kiya tha. aafrika me unke liye kai hotelo par pratibandh laga diya tha. 

ese hi ek gatana me nyayadhish ne Mahatma Gandhi ji ko apani pagadhi utar dene ka aadesh diya tha lekin unhone nahi mana tha.

yeh sari gatnaye Mahatma Gandhi ji k jivan me ek naya mod leke aayi or anyay ke prati jagrukta ka karan bani. dakshin aafrika me bharatiyo par ho rahe in atyacharo ko dekhate hue Gandhi ji ne angreji samrajya ke bharatiyo par ho rahe atyachar samman tatha desh me svayam apani sthiti k liye prasna uhtaye.

Thursday 9 June 2016

Rastrapita Mahatma Gandhi Ki Biography



Name : Mohandas Karamchand Gandhi

Father Name : Karamchand Gandhi

Mother Name : Putalibai Gandhi

Wife : Kasturba

Also Known As : Bapu

Born : 2 october 1869

Born place : porbandar (Gujarat)

Occupation : Barrister

Famous quotes : " Bura Mat Dekho, Bura Mat Suno Aur Bura Mat Kaho



Mahatma Gandhi ji ka Jivan 


Mahatma gandhi ji hamesha ek sada jivan hi vyatit karate the. woh hamesha khadi k hi kapade pahanate the or ek baat woh sach ka sath kabhi nahi chhodate the or ahinsa wadi the. ahinsha ka matlab ki kisiko bhi hani nahi pahochani chahiye. woh kahate the ki agar aapko koi ek gal par mare to aapko dusra gal aage kar dena chaiye. isase samanewale insan ka hraday parivartan ho jata hai.

Mahatma Gandhi ji ko log bapu kahake bulate the. Bapu ka janm gujarat rajya me porbandar shaher me hua tha. Gandhi ji ne apani siksha kathiyawad me saru ki. usake baad Gandhi ji london ke collage se kanoon ki Degree prapt ki. usake baad unhone bharat aakar vakalat ki padhai karni saru ki lekin usme safal nahi ho paye. thode samay baad unko dakshin aafrika se ek company me kanooni salahkar ke tor par rakha gaya. 

1919 me rolet act pass karake british sansad ne bharatiya upnivesh ke adhikari ko kuchh aapatkalin adhikar diye to Gandhi ji ne lakho logo k sath milakar satyagrah aandolan kiya. usi samay bhagatsinh or chandrashekhar aazad krantikari the. Jo desh ki swantantrata ke liye hinsak aandolan karate the. lekin Gandhi ji ne kabhi bhi hinsak andolan ke vishay me socha nahi or woh khud ke banaye hue ahinsak andolan hi karate rahe. unhone kabhi bhi har nahi mani.


Dakshin aafrika me nagrik adhikaro ke andolan(1893-1914)


1893 me Gandhi ji ne dakshin aafrika ke opniveshak shetra natal sthit ek bharatiya firm dada abdulla and company me kam karane ka ek ....Read More

1906 ke zulu yudh me Gandhi ji ka sahyog

1906 me zulu dakshin afrika me naye chunav kar ke lagu karne ke bad 2 angrej adhikari ko mar diya gaya. badle me angrejo ....Read more

Bharatiya swatantrata Sangram (1915-1945)

1915 me Mahatma Gandhi ji Dakshin afrika se bharat rahane ke liye aa gaye. us samay Gopal Krishna Gokhale jo bharatiya rastriya congres ke Read More